Kanz e Aza

Aale Aba Mein

A noha for Imam Ali (a.s), written by Sadiq. Lyrics in Roman Urdu.

aale aba mein matame shere khuda hai aaj

roze widae hazrate mushkil kusha hai aaj


masjid mein ibne muljim e maloon ki taygh se

zakhmi jo hogaya tha usi ki qaza hai aaj

aale aba mein...


shiyon udao khaak gareban phaad do

uryan jina mein farqe rasoole khuda hai aaj

aale aba mein...


mayyat ke gird rote hai baara pisar khade

jin ko yateem daure falak ne kiya hai aaj

aale aba mein...


pursa do aaj ahmed e mursal ko bhai ka

nayeb rasoole haq ka jahan se utha hai aaj

aale aba mein...


sadiq jahan mein hashr ke aasaar hai ayan

maahe siyam maahe moharram hua hai aaj

aale aba mein...