Kanz e Aza

Aati Hai Gardoon se

A noha for Imam Ali (a.s), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

aati hai gardoon se ye payham sada

qatl hue sajde mein shere khuda

qaanae haq mein ye ghazab ho gaya

qatl hue sajde mein shere khuda


gham se hai zainab nidhaal, khol diye sar ke baal

kehti hai ye pur malaal, dekho to baba ka haal

dete hai gibreel ye kaisi nida

qatl hue sajde mein shere khuda

aati hai gardoon...


saath pade jalwagar, kehti hai sar peet kar

phat-ta hai mera jigar, koi to laaye khabar

ghar mein khuda ke ye sitam kya hua

qatl hue sajde mein shere khuda

aati hai gardoon...


dekho to hasnain ja, baba ko ghar mein to lao

aisa laga sar pe ghao, mujko khudara batao

poocho to jarraah se hogi shifa

qatl hue sajde mein shere khuda

aati hai gardoon...


nashtare gham dil pa khaye, daud kar hasnain aaye

dekha ajab haal hai, khoon mein hai baba nahaye

farsh se ta arsh hai mehshar bapa

qatl hue sajde mein shere khuda

aati hai gardoon...


haaye qayamat hui, taygh sitam ki chali

maara ali-e-wali, girya-e-roohe nabi

kaisi layeen ne ye ki jor o jafa

qatl hue sajde mein shere khuda

aati hai gardoon...


ay mere zakhmi imam, tum pa durood-o-salaam

khoob ki tableegh e aam, de diya khaatil ko jaam

hoga anees aisi koi peshwa

qatl hue sajde mein shere khuda

aati hai gardoon...