baat aayegi parde ki to yaad aayegi zainab
tareekhe gham-o-dard ko dohraegi zainab
ut'ti jo nahi laashe jawan dijiye awaaz
paala hai to laasha bhi utha layegi zainab
baat aayegi parde...
kis kis ko sambhalegi kise degi tasalli
jalte huve qaimon se kise layegi zainab
baat aayegi parde...
sar nange jise dekh ke suraj bhi na nikla
ab sar khule balwe may wohi jayegi zainab
baat aayegi parde...
machlegi jo sone ke liye raat ko bachi
kya de ke tasalli usay behlayegi zainab
baat aayegi parde...
chadar hi ka de deti kafan cheenli wo bhi
ab bhai ko kis tarha se dafnayegi zainab
baat aayegi parde...
purse ko anees aayenge aur puchenge ehwaal
kis kis ko nishan durro ke dikhlayegi zainab
baat aayegi parde...