bazar mein jana hain darbar mein jana hain
tujhko aye behan mere maqsad ko bachana hai
1. ashur ka din zainab mehshar se na kam hoga
amma ko bharre ghar ka ek roz me gham hoga
shabbir ko jungle mein ghar apna lutana hai
2. ek teer-e-sitam hoga halq-e- ali asghar mein
beshir ka matam hai bano ke muqadar mein
in hathon se ek nanhi turbat bhi banana hai
3. kal sina-e-akbar me naize ki ani hogi
laila dar-e-qaima par sar peet rahi hogi
hum shakle payambar ka laasha bhi uthana hai
4. baba ne behen jisko allah se maanga tha
jo bhai muhafiz tha zainab tere parde ka
uss bhai ko dariya par shane bhi katana hai
5.nana se kiya wada is tarha wafa hoga
kal shimr layi mere sine pe chada hoga
sar bandagi-e-haq mein kal muhko katana hoga
6. jab sar mera aye zainab naize pe chada hoga
bimar mera ghash ke alam me pada hoga
jalte huwe qaimo se abid ko bachana hai
7. sehna hai behen tujhko sab zulm asiri ke
ta shaam guzarna hai bazaro se sar nange
iss din ke kashti ko yun paar lagana hai
8. jis shehar ki aye zainab tum hoti thi shahzadi
kal tum ussi kufa mein khaidi ki tarha hogi
ek woh bhi zamana tha ek yeh bhi zamana hai
9. wo seh nahi payegi zalim ke tamachon ko
maut ayegi ghurbat mein bachi ko meri dekho
zindan mein sakina ki turbat bhi banana hai
10. jab neend isse aayi seene pe sulaya hai
youn main ne sakina ka har naaz uthaya hai
ab baad mere tujh ko yeh farz nibhana hai
11. sadiq yeh bayan karke maghmoom huwe
sarwar
kehte huwe qaime se zainab ke chale sarwar
jana hai behan tujh ko har haal mein jana hai