ehsaas rulaata hai dil bibi se kehta hai
ay binte ali ay khwahar e hasnain
ek samt haram hai ghazi ka
ek samt hai haram e hussain
ay bibi kaash tera rauza
hota bainul harmain
ek jaa par bhai behan rehte
karte na bichad kar bain
ay bibi kaash tera rauza
hota bainul harmain
tu sharam o haya ki malka hai
phirwaya tujhe un galiyon mein
jis jaa na kabhi jaati teri
izzat waali naalain
ay bibi kaash tera rauza...
wo jis ke liye tu shaam gayi
gar us ki qabr yahin hoti
tujh ko bhi qaraar aa jaata aur
bhai ko bhi milta chain
ay bibi kaash tera rauza...
marqad mein tumhe jab tadpata
akbar ke bichadne ka sadma
abbas dilaasa de deta
aur pochte ashq hussain
ay bibi kaash tera rauza...
ashoor ki yaadon se bibi
dil tera kabhi jo ghabrata
asghar ko saath sula leti
aa jaata dil ko chain
ay bibi kaash tera rauza...
wo bete jinhe tu ro na saki
shabbir ka matam karti rahi
karbal mein saath tere hote
wo tere noor e ain
ay bibi kaash tera rauza...
ashoor aur chehlum karne ko
meelon ki musafat tay kar ke
tu shaam se na aati bibi
karne ko yahan par bain
ay bibi kaash tera rauza...
qurban teri mazloomi par
farhan bhi hai aur mazhar bhi
ek hum hi nahi kehte bibi
kehte hai yehi hasnain
ay bibi kaash tera rauza...