laashe abbas pe kehte thay hussain ibne ali
bhai ke marne se bhai ki kamar toot gayi
aat pehron se jo pyasa tha wafadar mera
kar liya nehr pe qabza bhi to pani na piya
jee ke ab kya karun jeene mein nahi lutf koi
bhai ke marne se...
laashe abbas pe...
jiska koi nahi saani wo wafa kar ke gaya
ek mashkeeze pe do baazu fida kar ke gaya
is wafadar ki furqat mein kahunga mai yehi
bhai ke marne se...
laashe abbas pe...
haye battees baras saath nibhaya jis ne
ek shajar ki tarha mujh par kiya saaya jis ne
umr bhar bhai ko bhai na kaha jis ne kabhi
bhai ke marne se...
laashe abbas pe...
jab wo ghode se gira mujhko sada di aise
baap ko beta musibat mein pukare jaise
wo sidhara to mujhe jeene ki khwahish na rahi
bhai ke marne se...
laashe abbas pe...
thokarein khaata jo maqtal chala karke buka
baazu abbas ke dekhe to wahin baith gaya
choom kar baazu e abbas kaha dil ne yehi
bhai ke marne se...
laashe abbas pe...
apne zaano pe sar e sher e jari rakh ke kaha
sirf ek baar mujhe bhai pukaro bhaiya
kehna chaaha tha magar saans wafa kar na saki
bhai ke marne se...
laashe abbas pe...
nauha karne laga safar bhi ye keh kar mazhar
qaima e shaah ka us waqt ajab tha manzar
sun ke shabbir ke nauhe ko behen kehne lagi
bhai ke marne se...
laashe abbas pe...