Kanz e Aza

Ali (a.s) Hai Bolta Quran Suno

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Aao mushkil kusha ki shaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Hyder Maula… Ali Maula…


Asadullah Hai karamullah Hai Ali

Ali Hai rabb ki razaa bhi

Huznullah Hai wajhullah Hai Ali

Ali Hai dast r qudaa bhi


Ali qaalik ki Hai zubaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Aao mushkil kusha ki shaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Hyder Maula… Ali Maula…


Ali walii ko uthaakey haatho pey

Zamaaney bharko hai dikhaaya

My jiska Maula hoon Hai uska Maula Ali

Nabi Ney sabko Hai bataaya


Gadeer e qum se ye bayaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Aao mushkil kusha ki shaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Hyder Maula… Ali Maula…


Qudaa ke Ghar mey Ali ki aamad Hai

Qudaa ke Ghar mey shahadat

Ali ka naara dilo ki taaqat Hai

Ali ka zikr ibaadat


Meri millat ke naujawaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Aao mushkil kusha ki shaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Hyder Maula… Ali Maula…


Husaini jazbaa ubhaartaa Hai

Ali ke naam ke naara

Yazeediyo ko pachaadtaa Hai

Ali ke naam ke naara


Ali Hai mustafa ki jaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Aao mushkil kusha ki shaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno


Hyder Maula… Ali Maula…


Nabi ko azmat pey pehra Dena

Humey baba Ney sikhaaya

Nabi ka dushman Hai apna dushman

Humey baba Ney bataaya


Hamaari ishq ki pehchaan suno

Ali Hai boltaa Quran suno