umme laila ali akbar ka janaza aaya
khoon may dooba hua laal ka sehra aaya
fatema sughra ka khat pad kar ye bole shabbir
naam tere ali akbar khat e sughra aaya
umme laila ali akbar ka...
baith kar sochti rehti thi ye sughra ghar may
mere bhai ka na shaadi ka bulawa aaya
umme laila ali akbar ka...
le to aaye shah e deen laash e jawan qaime tak
aisa lagta tha ke shabbir ka laasha aaya
umme laila ali akbar ka...
jis ne athara baras paala tha us se poocho
kis tarha barchi may akbar ka kaleja aaya
umme laila ali akbar ka...
naujawan laal ke seene se nikaali barchi
waqt mazloom musafir pe ye kaisa aaya
umme laila ali akbar ka...
jis ko armaan tha shadi ka wo maa kya karti
jis ki taqdeer may ta umr tadapna aaya
umme laila ali akbar ka...
ab na akbar hai na abbas na koi nasir
ay zafar ye lab e shabbir pe nauha aaya
umme laila ali akbar ka...