baade rasool sadme uthaati rahi batool
rone ko bait e huzn mein jaati rahi batool
dil murtaza ka pehle hi zakhmon se choor hai
maula se apne zakhm chupati rahi batool
baade rasool sadme...
pehlu shakista ho ke bhi shikwa nahi kiya
tanhaiyon mein ashk bahaati rahi batool
baade rasool sadme...
dene hai khutbe unko bhi darbar e shaam mein
zainab ko dil ka haal bataati rahi batool
baade rasool sadme...
afsos ke liye bhi na aaya koi magar
farshe ghame rasool bichati rahi batool
baade rasool sadme...
maa ke dukhon pe rote rahe zainab o hussain
yasrab mein karbala ko sajaati rahi batool
baade rasool sadme...
darwaza e batool se uth'ta raha dhuaan
ajre rasool durron se paati rahi batool
baade rasool sadme...
cheh maah bhi na zinda rahi bibi ay zafar
nauhe musibaton ke sunaati rahi batool
baade rasool sadme...