Kanz e Aza

Bemaar Behan ka

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Zafar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

bemaar behan ka nauha tha

kyun aaye nahi bhaiya akbar


kya lena mujhe tab aaoge

mar jayegi jab sughra akbar


bemaar behan se jaate huwe

waada ye kiya tha aaunga

baba ne tujhe kyun rok liya

itna to mujhe batla akbar

bemaar behan ka...


mai sochti rehti hoo aksar

aur dekhti rehti hoo raahein

kyun dayr hui aane mein tujhe

ab majboori hai kya akbar

bemaar behan ka...


kha jayega mujhko soona ghar

ab phail rahi hai maayusi

veeran hui saari raahein

aur ghar mein hai andhiyara akbar

bemaar behan ka...


ay bhai mere ye dhyan rahe

gar dayr hui pachtaoge

kab aaoge mujhko lene ko

jaldi mujhe khat likhna akbar

bemaar behan ka...


mai gor kinare hoo khud hi

naraaz hua hai kyun mujhse

ya mujho bata de bas itna

kab tak dekhun rasta akbar

bemaar behan ka...


mai ghar mein akeli baithi hoo

sab chaahne waale rooth gaye

ashkon ki rawani mein padhle

kya haal likhun dil ka akbar

bemaar behan ka...


ek bhai ki furqat mein zafar

nauha ye lab e sughra pe raha

gar dayr hui mar jaaungi

hai waqt ab bhi aaja akbar

bemaar behan ka...