hoti hai ayan dasht may ab shaam e ghariban
ay sayyed e sajjad ay sayyed e sajjad
ujde huwe is ghar ke ho ab tum hi nigehban
ay sayyed e sajjad ay sayyed e sajjad
maqtal may shah e deen ka bhara ghar hua barbaad
kis se kare faryaad
afsos ke sab mil gaye wo khaak may armaan
ay sayyed e sajjad...
thay jis may ali asghar o qasim se sahare
wo aankhon ke taare
maqtal may hai bikhra hua zehara ka wo quran
ay sayyed e sajjad...
ab zainab o kulsom ke sar par nahi chadar
ay haye muqaddar
bazaar may jayenge ye le kar sar e uryan
ay sayyed e sajjad...
maqtal se guzar aaye magar zulm na tehra
hai zakhmon ka pehra
hai khaak saron par huwe hai chaak gareban
ay sayyed e sajjad...
ab zabt ka yaara bhi kahin toot na jaye
hai dard ke saaye
darbar may ab jaana hai zainab hai pareshan
ay sayyed e sajjad...
mazloom shah e deen ki nishani ko sambhalo
dukhiya ko bachalo
masoom sakina hui zakhmon se lab e jaan
ay sayyed e sajjad...
koi bhi zafar nasir o ghamkhwar nahi hai
hubdaar nahi hai
khaa jayegi masooma ko tareeki e zindan
ay sayyed e sajjad...