AYE SHAME GHAREBAAN
Din dhal gaya ashoor ka tareek shab thi
Bikhre huwe lashe the har simt udasi
Deti huwe pehra kaha Binte Ali ne
Kya tujh se kahen haal-e-digar Zainab-e-Muztar – Aye Sham-e-Gharebaan
Jati hoon luta kar teri goodi mein bhara ghar – Aye Sham-e-Gharebaan
Akber ki azaan se huwa aghaaz wo din ka – Phatta tha kaleja
Shabbir se bas jung ko tayyaar tha lashkar – Aye Sham-e-Gharebaan
Kaise mein kahun tujh se wo sab karb ke manzar – Karbal ki zameen par
Thi khoon mein doobi huwe Aulaad-e-Payamber – Aye Sham-e-Gharebaan
Zaqmon se bhare Aon-o-Mohammed ke janaze – Khaime mein jo aaye
Sab Ahle Haram dekh ke rote the tadap kar – Aye Sham-e-Gharebaan
Shabbir ki dukhtar bani chand lamhon mein bewa – Kaisa wo samaa tha
Sheh late the Qasim ke sabhi tukde utha kar – Aye Sham-e-Gharebaan
Akber ke janaze ko ek baap ne dekha – Seene mein tha bhala
Ghode se gire khak pe ye dekh ke manzar – Aye Sham-e-Gharebaan
Abbas-e-Alamdar ke kate gaye shane – Darya ke kanare
The nale kuna tooti kamar tham ke Sarwar – Aye Sham-e-Gharebaan
Narghe mein layeenon ke tha bhaye mera tanha – Seh roz ka pyasa
Faryaad mein karti rahi chalta raha khanjar – Aye Sham-e-Gharebaan
Tha ghoor andhera aye Sohail us ghadi ban mein – Sannata tha run mein
Har baar yehi bain the Zainab ke labon par – Aye Sham-e-Gharebaan