Kanz e Aza

Baba Ab Na Aayenge

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Alamdar Hashmi. Lyrics in Roman Urdu.

hum rote reh jayenge

bali sakina soja

baba ab na aayenge

bali sakina soja


shaam e ghariban aayi hai

kaisi udaasi chaayi hai

bikhre hai ran may laashe

kis jaa mera bhai hai

ke dhoondte hum reh jayenge

bali sakina soja

baba ab na aayenge...


jab jab pani maangogi

shimr tamache maarega

dikhla ke tum ko pani

mitti par wo daalega

hum pyase reh jayenge

bali sakina soja

baba ab na aayenge...


kis may itni himmat thi

ke aag lagaye qaimon may

ek bhai ke marte hi

aada aaye qaimon may

ab qaime jal jayenge

bali sakina soja

baba ab na aayenge...


nana ke deen ki khaatir

ranj o gham ye sehna hai

saare kunbe ko le kar

qaid may hum ko rehna hai

hum qaidi ban jayenge

bali sakina soja

baba ab na aayenge...


rote huwe baba keh kar

ran may jab tum jaogi

sun kar awaaz e sarwar

laashe ko tum paogi

tumko gham tadpayenge

bali sakina soja

baba ab na aayenge...


dar dar humko phirna hai

dukh ye saare sehna hai

ghar hai apna aur na bichona

khaak pa hum ko rehna hai

hum kaise so payenge

bali sakina soja

baba ab na aayenge...


jo hum par guzri usko

hashmi kaise likhega

padte hi irfan ye nauha

saara aalam royega

aansu behke aayenge

bali sakina soja

baba ab na aayenge...