bain ye zainab ka tha shaam e ghariban bata
kya hua kunba mera shaam e ghariban bata
qasim e naushaah ki laash ke tukde huwe
kaisa ye sehra bandha shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
kyun ye har ek aankh se khoon ke aansu giray
kaise hai gham ki ghata shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
abid e beemar par shah ke ghamkhwar par
kyun hai ye jor o jafa shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
pyaas may asghar mera rayt par tadpa kiya
pani kya usko mila shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
kaisi ye aayi hai shaam khauf har ek soo hai aam
aur iraada hai kya shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
aun o mohamed mere ganj e shaheedan may thay
dono ka hai haal kya shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
qaimon se jalte huwe maut ke sholay uthe
kya koi zinda bacha shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
haye yateemon ke saath aur aseeron ke saath
hai yehi insaaf kya shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
wo mera akbar jawan mar gaya kha kar sina
laasha kya uska utha shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
sarwar e zeeshan ke zakhm bahatar lage
hai yehi karbobala shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
bhai bhi palta nahi pani bhi aaya nahi
kya hua ghazi mera shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...
haye garoh e hussain padti hai zainab ke bain
kyun na ho ghamgeen raza shaam e ghariban bata
bain ye zainab ka tha...