kehte thay ro ke abid e dilgeer kya karun
zaalim bahot hai lashkare be-peer kya karun
bemaar hoo ke raah ka chalna mohaal hai
us par sitam hai paaon mein zanjeer kya karun
kehte thay ro ke...
karbobala mein aa ke ye ehsaas bhi na tha
ye din mujhe dikhayegi taqdeer kya karun
kehte thay ro ke...
shiddat ki garm rayt pa sookhi zaban liye
tadpa hai mera asghar e baysheer kya karun
kehte thay ro ke...
kadiyal jawan ke seene pa naiza jo chal gaya
royi bahot hai maadar e dilgeer kya karun
kehte thay ro ke...
ye to khabar thi honge bahattar ke sar qalam
be-pardagi dikha gayi taqdeer kya karun
kehte thay ro ke...
deen e nabi ko jis ne ujaala ata kiya
hai teeragi mein aaj wo tanveer kya karun
kehte thay ro ke...
bache tadap ke mar gaye pani nahin mila
wo tashnagi ki dekhi hai tasveer kya karun
kehte thay ro ke...
sab kuch luta ke dasht mein daaman ko jhaad kar
baihte thay ran mein hazrate shabbir kya karun
kehte thay ro ke...
baagh e fidak ko cheen ke jab dil nahi bhara
karbobala mein loot li jageer kya karun
kehte thay ro ke...
zainab phupi hai shaam ke balwe mein berida
aur har taraf hai majma e be-peer kya karun
kehte thay ro ke...
hasrat liye madine ki zindan e shaam mein
zer e zameen so gayi hamsheer kya karun
kehte thay ro ke...
nauha likha raza to qayamat guzar gayi
dil ro raha hai aur mai tehreer kya karun
kehte thay ro ke...