boli rabab dasht mein kaisa hai ye dayaar
armaan hamare dil ke huwe saare taar taar
boli rabab dasht mein...
sookhe gale jo pyaas se bechain hai bahot
ghazi ko yaad karte hai ro ro ke baar baar
boli rabab dasht mein...
dashte bala mein kaise sukoon paaye bibiyan
har soo khadi hai jabr o tashadud ki ek khataar
boli rabab dasht mein...
maa'on ke bain aur ye bachon ki siskiyan
chubti hai yun kalaje mein jaise ke nok e khaar
boli rabab dasht mein...
tareekh hai gawah ke sadme uthaye hai
jab jab kiya hai ummat e aasi pa aetbaar
boli rabab dasht mein...
karte hi jaa rahe hai sitam hum pa ashkiyan
shaamil nahi kisi ki tabiyat mein inkisaar
boli rabab dasht mein...
jis ne jawan bete ki mayyat uthayi ho
phir us zaeef baap ko kaise mile qaraar
boli rabab dasht mein...
pamaal ho ke reh gayi laila ki hasratein
naiza hua jo seena e akbar ke aar paar
boli rabab dasht mein...
karbobala ke dasht mein hum sab ko ghayr kar
bedard maut karti hai ek ek ka shikaar
boli rabab dasht mein...
bache dahel ke so gaye godhi mein maut ki
jalte qayaam ban gaye un ke liye mazaar
boli rabab dasht mein...
hum ko ye kis maqaam pa le aayi zindagi
kuch gham pa apna bas hai na khushiyon pa ikhtiyar
boli rabab dasht mein...
jis ko bhi dekho shaah pa rota hai ay raza
kul kayenat hai mere maula ki soghwaar
boli rabab dasht mein...