Kanz e Aza

Baba Ab To Aajao

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

shaam e ghariban

mere pyare baba mere ache baba


lutgaya hamara ghar baba ab to aajao

baba ab to aajao baba ab to aajao

chin gayi meri chadar baba ab to aajao

baba ab to aajao baba ab to aajao


shaam e ghariban dekho khoon ka ye samaa dekho

ab hamare qaimon se uth'ta hai dhuan dekho

koi bhi nahi sar par baba ab to aajao

baba ab to aajao...


baba baba kehti thi roke zainabe muztar

aina qasime muztar aina shakle payghambar

kaun de jawab uth kar baba ab to aajao

baba ab to aajao...


gaal par sakina ke jab tamacha lagta tha

jabke sholo ki zad par ghamzada ka kurta tha

kehti thi yehi rokar baba ab to aajao

baba ab to aajao...


thay haram jo be parda rote jaate thay sajjad

durra jab bhi lagta tha karte thay yehi faryad

mai sitam ke hoo zad par baba ab to aajao

baba ab to aajao...


fatema ke zaanu par kat raha tha sheh ka sar

dekh kar suye yasrab keh rahi thi maa rokar

lut raha hai mera ghar baba ab to aajao

baba ab to aajao...


qaid may sakina ko kaat'ti hai tanhai

kabhi kehti hai ammu kabhi kehti hai bhai

kabhi kehti hai rokar baba ab to aajao

baba ab to aajao...


beti ki sada'on par aagaye ali haider

ye pukare zainab ko tab galay se lipta kar

ab na yun kaho rokar baba ab to aajao

baba ab to aajao...


likh raha hai jo majid shadman padho nauha

goonjta hai kaano may bekason ka ye naala

ay yateemo ke yawar baba ab to aajao

baba ab to aajao...