be rida bibiyon ki khaafila salaari hai
paon mein aable hai aur safar jaari hai
chod kar jaata hoo baba ko mai be-gor o kafan
dil e sajjad pe ye karb bohat bhaari hai
be rida bibiyon ki...
ibn e shabbir ko durre to na maaro logon
bhook hai pyaas hai beemari hai aazaari hai
be rida bibiyon ki...
maarta koi sakina ko to kehte abid
maar le mujhko mere baba ki ye pyari hai
be rida bibiyon ki...
logon dekho ye kata sar hai mere baba ka
kat ke bhi honton pe quran e khuda jaari hai
be rida bibiyon ki...
bole ye laashe sakina ko utha kar abid
ay chacha dekhiye kano se lahoo jaari hai
be rida bibiyon ki...
saath zehra ke giraya hai mazaar e abid
aaj bhi aal pe ummat ka sitam jaari hai
be rida bibiyon ki...
fath e abid ka ye elaan hai har soo majid
ye jo har qariye mein sarwar ki azadari hai
be rida bibiyon ki...