Kanz e Aza

Bicha ke Farshe

A noha written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

bicha ke farshe aza sayyeda ko yaad karo

lahoo bahao to zainnul liba ko yaad karo

dua e zainab o zehra hai majlis o matam

safe aza pe jo aao dua ko yaad karo


sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema aisi azadari karo


ye ibadat hai na reh jaaye kahin is mein kami

shukr khaaliq ka karo tum ko banaya matami

majlis e shabbir se har dam wafadari karo

sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema...


majlis e shabbir hai ilm o adab ki darsgaah

ye usi ki yaad mein hoti hai jo hai deen panah

shabbedari se aqeedon ki bhi bezaari karo

sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema...


zabr o eesaar o wafa ka ye bharam hai doston

ye alam abbas e ghazi ka alam hai doston

zehen mein ghazi ko rakho tab alamdari karo

sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema...


majlis e sarwar ke rutbe mein nahi koi sawaal

ho na paaye farshe matam ka taqaddus payemal

jaise padte ho namazein yun azadari karo

sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema...


tum agar apne ko kehte ho azadar e hussain

dil se ban'na chaahte ho taziyadar e hussain

khatm kar do har siyasat bas azadari karo

sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema...


subhe ashoora alam zainab ke haathon se saja

wo alam abbas ko de kar ye sarwar ne kaha

ay mere abbas tum lashkar ki salaari karo

sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema...


dekh kar aun o mohamed ko ye zainab ne kaha

sar pe rakhlo tum amaame aur kamar baandho zara

apne mamu par fida hone ki tayyari karo

sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema...


ultaf e aale mohamed majid apna hai nishan

unke gham mein muztarib unki khushi mein shadman

unke ban jao ghulam un se wafadari karo

sunnat e zainab yehi hai taziyadari karo

jis se khush ho fatema...