Kanz e Aza

Baba Mai Lut Gayi

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

haye shaam e ghariban


ashoor ki wo shaam qayamat ka wo samaan

aaye najaf se milne ali jis ghadi wahan

beti lipat ke baap se karti thi ye fughan

athara bhaiyon ki behen ab nahi rahi

baba badal do naam mai zainab nahi rahi

baba mai lut gayi


karbobala basa ke ye zainab ne di sada

baba mai lut gayi


nazrein mila na payenge ek doosre se hum

ay mere baba jaan tumhe abbas ki qasam

aankhein na kholna mere sar par nahi rida

baba mai lut gayi

karbobala basa ke ye...


pehle ke jaisi aap ki beti nahi rahi

pehchan'ne mein aap ko kuch dayr yun lagi

beenayi bhi gayi meri akbar bhi chal basa

baba mai lut gayi

karbobala basa ke ye...


sar rakh ke zakhmi seene pe royi wo tishnakaam

akbar ne kar diya mere parde ka intezaam

chehre pe khoon hai mere kadiyal jawan ka

baba mai lut gayi

karbobala basa ke ye...


ujdi hai ek roz mein amma ki kayenat

kitne janaze uthe hai is ghar mein ek saath

bikhri hui hai dasht mein tasveer e fatema

baba mai lut gayi

karbobala basa ke ye...


shahzadiyon ki tarha se rakha tha aap ne

jaate huwe hussain ko saumpa tha aap ne

wo dekhiye sina pe hai sar mere bhai ka

baba mai lut gayi

karbobala basa ke ye...


baba najaf khareeb hai har shaam aaungi

mai qabr par hussain ki shamme jalaungi

tum saath apne le chalo ab kaun hai mera

baba mai lut gayi

karbobala basa ke ye...


ye kehte kehte mir takallum wo ro padi

abid ko jalte qaimon se laayi hoon mai abhi

beton ka imtehan bhi beti ne de diya

baba mai lut gayi

karbobala basa ke ye...