Kanz e Aza

Ay Shame Ghariban

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

ay sham e ghariban mujhe kuch haal suna de

koofe mein aseero pe jo guzri hai bata de


aa mujhko bata kya hua darya ke kanare

maqtal se kahan par gaye zainab ke dulaare

ab kya huye asghar ke wo masoom ishare

zaalim ne sakina ke tamache to na maare

ay sham e ghariban...


roodaad suna sibte payambar pe jo guzri

asghar pe jo guzri ali akbar pe jo guzri

qasim pe aur abbas e dilawar pe jo guzri

aur wo bhi bata bibi ki chadar pe jo guzri

ay sham e ghariban...


baysheer ke jab teer laga tha to hua kya

wo sher jo darya pe gaya tha to hua kya

maqtal mein andhera jo hua tha to hua kya

jab qaima aseeron ka jala tha to hua kya

ay sham e ghariban...


kya haal hua baad mein shabbir ke ghar ka

kuch haal bata mujhko aseero ke safar ka

kaisa tha ujaala bani hashim ke qamar ka

kya haal tha us waqt shahadat ke asar ka

ay sham e ghariban...


abid pe urooj aisi musibat ki ghadi thi

bemaar thay aur paon mein zanjeer padi thi

har chand ke mushkil thi magar baat badi thi

kis tarha se tay ki gayi manzil jo kadi thi

ay sham e ghariban...