umme laila na bhula paayi azan akbar ki
ghut ke roti rahi zindan may maa akbar ki
tod di seena e akbar may udoo ne barchi
kaun kar sakta hai bayan takleef bayan akbar ki
umme laila na bhula paayi...
akhri waqt may bete ne jo maanga pani
dekh kar ro diye sheh khushk zaban akbar ki
umme laila na bhula paayi...
mout ki hichki pe pahuncha tha behan ka qasid
khat e sughra may thi atki hui jaan akbar ki
umme laila na bhula paayi...
shaam may bhai ka sar dekh ke roya sajjad
yaad beemar ko aayi thi kahan akbar ki
umme laila na bhula paayi...
umme laila ne yehi keh ke mala sar pe lahoo
rakhun mai koi nishani to jawan akbar ki
umme laila na bhula paayi...
dekhi darbar ki halat to pukari zainab
haye sajjad zaroorat thi yahan akbar ki
umme laila na bhula paayi...
ay zafar koi bhi nasir ya madadgaar na tha
siskiyan leti rahi raahon may maa akbar ki
umme laila na bhula paayi...