chain akbar ko kahan baba badi takleef hai
khaynch lo dil se sina baba badi takleef hai
naujawan bete ki kuch takleef kam kar dijiye
zakhm pe nade ali padh padh ke dam kar dijiye
mustaqil hai khoon rawan baba badi takleef hai
chain akbar ko kahan...
waqt ye manzar na dikhlaye kisi bhi baap ko
mujhpe kya guzri hai batlaun mai kaise aap ko
ladkhadati hai zaban baba badi takleef hai
chain akbar ko kahan...
saans bhi lene nahi deta mujhe barchi ka phal
kijiye bas ye dua ab mujhko aa jaaye ajal
dil pe hai baare giran baba badi takleef hai
chain akbar ko kahan...
tashnagi mein zakhme dil ki taab laaun kis tarha
ye batao haath seene se hataun kis tarha
dard hota hai yahan baba badi takleef hai
chain akbar ko kahan...
ab yaqeen hai mujhko mushkil hai bohat jeena mera
paar naiza hogaya hai tod kar seena mera
kyun na ragdun aediyan baba badi takleef hai
chain akbar ko kahan...
haal maadar se ne kehna jaake mujh ghamgeen ka
poch lo aankhon se aansu waqt hai yaseen ka
aa rahi hai hichkiyan baba badi takleef hai
chain akbar ko kahan...
mere qaatil ne mere seene mein barchi tod'di
ab to bas umeed bhi jeene ki maine chod'di
jism se khichti hai jaan baba badi takleef hai
chain akbar ko kahan...
noor aankhon ka pisar ke hijr mein jaata raha
aamir o akhtar dile shabbir tharrata raha
sun ke akbar ka bayan baba badi takleef hai
chain akbar ko kahan...