allah re qayamat allah re qayamat
mazloom ka janaza lachaar ka janaza
aahista se uthao bemaar ka janaza
mazloom ka janaza lachaar ka janaza
khaye hai taziyane zakhmi hai pusht saari
hai sheh ke gham mein ab bhi aankhon se ashk jaari
tasveer e gham bana hai ghamkhwar ka janaza
aahista se uthao bemaar ka janaza
mazloom ka janaza...
ummat ne zulm dhaaye kufe ki rehguzar mein
jisko qadam qadam par loota gaya safar mein
hai aise khaafile ke salaar ka janaza
aahista se uthao bemaar ka janaza
mazloom ka janaza...
ahle aza tadap kar aansu baha rahe hai
taboot ko ye keh kar kaandha laga rahe hai
kaise uthaye apne sardar ka janaza
aahista se uthao bemaar ka janaza
mazloom ka janaza...
bharne ko bhar chuke hai sab zakhm pindliyon ke
lekin nishan ab bhi baaqi hai bediyon ke
dekho hussain apne dildaar ka janaza
aahista se uthao bemaar ka janaza
mazloom ka janaza...
saydaniyan tadap kar sar apna peet'ti hai
saansein to ruk gayi hai aankhein khuli hai
baqir ke muntazir hai deedar ka janaza
aahista se uthao bemaar ka janaza
mazloom ka janaza...
aankhon se khoon tapka tharra gaya kaleja
baqir ke dil se poocho kaise lehed mein rakha
abid ka muttaqi ka deen daar ka janaza
aahista se uthao bemaar ka janaza
mazloom ka janaza...
aamir bhi ro raha hai akhtar ki aankh nam hai
beemar e karbala ka sab ke dilon mein gham hai
nazron mein ghoomta hai khuddar ka janaza
aahista se uthao bemaar ka janaza
mazloom ka janaza...