ay ali akbar zara pehchaan lo
ye to mere bhai ki awaaz hai
ya elahi khair se darya pe ho
ye to mere bhai ki awaaz hai
tukde tukde dil hai is awaaz se
mujhko milwa do mere hamraaz se
ghaur se beta ali akbar suno
ye to mere bhai ki...
do sahara baap ko noor e nazar
is sada ne tod di meri kamar
dasht mein naade ali padhte raho
ye to mere bhai ki...
maar daalega hamein bhai ka gham
kya nazar aata nahi akbar alam
kis liye khamosh ho kuch to kaho
ye to mere bhai ki...
haye wo bhi gir gaya ghode se lo
zainab o kulsoom ki dhaaras tha jo
jald us ke paas mujhko le chalo
ye to mere bhai ki...
kaise uthega jawan bhai ka gham
ladkhadate hai ali akbar qadam
bad ke do beta sahara baap ko
ye to mere bhai ki...
kat gaye lagta hai baazu sher ke
maar daala dushmano ne ghayr ke
dayr ho jaaye na ab jaldi karo
ye to mere bhai ki...
kyun faza e alqama ghamgeen hai
khoon se saari zameen rangeen hai
aa rahi hai mustaqil darya se jo
ye to mere bhai ki...
muntazir hai nehr par bhai mera
raasta takta hai shehdayi mera
bas isi awaaz par badhte raho
ye to mere bhai ki...
aamir o akhtar bala ka dard tha
sun kar ye awaaz chehra zard tha
fikr thi ran mein yehi shabbir ko
ye to mere bhai ki...