Bhai Mai Luti Aayi Hu, Zainab Ki Sada Hai
rassi Ke Nasha'n Laayi Hu, Zainab Ki Sada Hai
1. Bazaar Me Balou'n Se Hi Muh Apna Chupakar
kis Tarah Se Mai Aayi Hu, Zainab Ki Sada Hai
2. Dil Seene Me Phat-ta Tha Mera Yaad Me Tere
ab Jaake Mai Ro Paayi Hu , Zainab Ki Sada Hai
3. Pyasi Hi Sakina Mari Zindaan Me Abbas
usko Mai Sula Aayi Hu, Zainab Ki Sada Hai
4. Sunte Hi Tadapne Laga Abbas Ka Laasha
mai Qaid-e-sitam Paayi Hu , Zainab Ki Sada Hai
5. Aik Laash Ki Tarha Tha Khada Abid-e-beemaar
kis Tarha Utha Laayi Hu , Zainab Ki Sada Hai
6. Jo Godh Ke Paale The Woh Sab Thay Sar-e. Naiza
manzar Bhi Yeh Dekh Aayi Hu , Zainab Ki Sada Hai
7. Yeh Kehke Diya Shaam Ke Darbaar Me Khudba
hasnain Ki Majaayi Hu, Zainab Ki Sada Hai
8. Utthi Yeh Najaf qabr Se Shabbir Ki Kehkar
ab Bhai Mai Bin Bhai Hu, Zainab Ki Sada Hai