NaojawaanBete ki ran se jab sada aayi
Le chali suwe maqtal Shah e Deen ko tanhaai
Kuch nazar na aata tha jaa chuki thi beenai
Kehte the Tumhein dhu'ndun Main kahan kahan Akbar
Bain karte the Sarwar HaayNaojawa'n Akbar
Jis ghadi Shah e Waala pohnche Laashe Akbar par
Phat gaya jigar Gham se dekhte hi ye manzar
Muztarib tha reti par Hamshabih e PaiGhambar
Le rahe the ruk ruk kar rannme hichkiyan Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa'n Akbar
Shaah e Dee'n ye kehte the chup ho kis liye Beta
Baap ko zaeefi me daagh de gaye kaisa
Kya bataaaun Main tum ko haal jo hai Laila ka
Kis tarah rahe zinda ab Tumhari Maa Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa'n Akbar
Kuch to bolo kyun aakhir karwatein badalte ho
Dono hath seene par baar baar rakhte ho
Kya guzar gayi beta kis liye tadapte ho
Kyun ragadte ho aakhir ran meediyaan Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa'n Akbar
HaayTeri shaadi ka dil meMaa ke armaan tha
Kaise ab wo dekhegi Tera khu'n bhara Laasha
Jaake Umme Laila se ab Main kya kahu'nBeta
Haay ye Jawaani aur dil me ye sina Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa'n Akbar
Karbala ke jangalme kaisa waqt e ghurbat hai
Ek Ghamzada Maa par kaisi ye qayamat hai
Saamne nigaaho'n ke Naojawa'n ki mayyat hai
Bekasi me Laila ka hai ye imtihaa'n Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa'n Akbar
Tha Sohail khaimon me ek hashr sa barpa
Laake rakh diya Sheh ne Naojawan ka Laasha
Tha labon pa Zainab ke har ghadi yehi nauha
Meri godh ke pale MereNaojawan Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa'n Akbar