Zainab ke bain the Mere saqqaye Karbala
Is bekasi me koi Hamara nahi'n raha
Jo Tum nahi'ntoHam pa har ek gaam hai jafa
Ham bekason ko Aake do ab jald aasra
Kya so Rahe ho nehr pa AbbaseBawafa
Tooti kamar Hussain ki jab Tum nahi'n rahe
Aankhon ka Noor ja chuka Akbar jo Chal base
Bewo'n ko aas Tum se thi Shere Jari Mere
Bekas Hussain dasht me ab kisko dein sada
Kya so Rahe ho nehr pa AbbaseBawafa
Sab jal chuke qayam ridaaein bhi chhin gayi'n
Tab se pada hai ghash meMera Abide hazi'n
Saaya hai asmaan ka aur farsh hai zami'n
Zainab talaya karti hai jalte khayaam ka
Kya so Rahe ho nehr pa AbbaseBawafa
Ro kar Sakina kehti hai Ammu ab Aaiye
In zaalimon ke zulm se ham ko bachaiye
Behr e Khuda na is tarah mujh ko rulaiye
Gohar bhi chheene ja chuke kurta bhi hai phata
Kya so Rahe ho nehr pa AbbaseBawafa
Bhayya jo Tum nahi'nto hain be aas Bibiya'n
Khaimon meSheh ke ek qayamat ka hai sama'n
Tashna labi se bachche sabhi karte hain fugha'n
Rokar Sakina Kehti hai jald Aaiye Chacha
Kya so Rahe ho nehr pa AbbaseBawafa
Mashko Alam ko leke luta Qafela chala
Haamil Alam ka Pyaason ka Saqqa nahi'nRaha
Maatam tha aye Sohail Alamdare Shah ka
The bain sab ke aye Bani Hashim ke Meh laqa
Kya so Rahe ho nehr pa AbbaseBawafa