bano ka ye nauha tha aajao ali akbar
aajao mera beta aajao ali akbar
hai ghere huwe lashkar ahmed ke nawase ko
mazloom musafir ko seh roz ke pyase ko
tanha hai shah we waala aajao ali akbar
bano ka ye nauha tha...
talwaron ki zad par hai is waqt mere waali
aaqa se mere dunya hojaye na ye khaali
lut jaye na ghar mera aajao ali akbar
bano ka ye nauha tha...
is ghamzada madar ko ab aur na tadpao
jisne tumhe paala hai kuch us pa taras khao
kyun rooth gaye beta aajao ali akbar
bano ka ye nauha tha...
zaalim ki jafaon se behaal jo bache hai
de kar tumhe aawazein rote hai tadapte hai
kohraam hai ek barpa aajao ali akbar
bano ka ye nauha tha...
ghar loot chuke zaalim ab qaime jalate hai
mazloomno yateemon ko has has ke rulaate hai
karte hai sitam aada aajao ali akbar
bano ka ye nauha tha...
sadaat ke qaimon se uth'ta hai dhuwan haye
sajjad ki gardan mein hai tauq e garan haye
zainab hai rasan basta aajao ali akbar
bano ka ye nauha tha...
mai kab se bulaati hoo kyun sunte nahi akbar
ab dasht e musibat mein chinti hai meri chadar
hai waqt qayamat ka aajao ali akbar
bano ka ye nauha tha...
wo sher e jari haye phir aa na saka gohar
jab tak bhi rahi zinda dil thaame huwe ro kar
maa karti rahi nauha aajao ali akbar
bano ka ye nauha tha...