Kanz e Aza

Bazaar Aa Raha Hai

A noha for Darbaar e Shaam, written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

bazaar aa raha hai bazaar aa raha hai

sharm o haya ki malka be-maqna o rida hai


sab qatl ho chuke hai shabbir ke fidaayi

ansar o aqraba bhi

kis ko bulaye haye sunta nahi hai koi

faryad bekason ki

behaal gham ke maare bemaar e karbla hai

bazaar aa raha hai...


kaisi hai ye qayamat hai kaisi ye ghadi hai

hai kaisi bekasi hai

sar berida hai sab ke haathon mein bibiyon ke

rassi bandhi hui hai

bemaar ke galay mein tauq e garan pada hai

bazaar aa raha hai...


kya zulm kya sitam hai aayi hai qaid hokar

aulaad mustafa ki

bemaar saarban ke pairon pe sar ko rakh ke

roti hai bediyan bhi

sun sun ke ye sadayein har zakhm ro raha hai

bazaar aa raha hai...


baalon se moo chupa kar saydaniyan pukari

aa kar hamay bachao

abbas jald aao abbas jald aao abbas jald aao

ek ghul hai chaar jaanib ek shor uth raha hai

bazaar aa raha hai...


mazloom bibiyon ko hote hai khush rula kar

ahle sitam jafagar

faryad kar rahi hai saydaniya tadap kar

koi dilaade chadar

abbas ko bulao zainab ki ye sada hai

bazaar aa raha hai...


chaaron taraf sakina qaidi yateem bacchi

hasrat se dekhti hai

kya waqt aagaya hai abbas ki bhatiji

chup chup ke ro rahi hai

sehmi hui hai bacchi ye khauf khaa raha hai

bazaar aa raha hai...


ghaiz o ghazab ke maare larza hai ek sina par

kadiyal jawan ka sar

rukta nahi hai haye ghazi ka sar sina par

gir jaata hai zameen par

aankhon se sheh ki khoon ka behna bata raha hai

bazaar aa raha hai...


zainab ne ro ke jis dam poocha ye shaahe deen se

hukme imam kya hai

aayi sada ye gohar shaahe umam ke sar se

bhai bhi chal raha hai

chal meri dukhiya behna haafiz tera khuda hai

bazaar aa raha hai...