Kanz e Aza

Bazaar mein Binte Ali

A noha for Darbaar e Shaam (2007). Lyrics in Roman Urdu.

Bazaar mei bint-e-Ali

Bazaar mei bint-e-Ali


(Aina Akhi Abbas) x 4

(Bazaar Mai Binte-Ali Deti Thi Sadaa Bhai Abbas Kahaan Ho) x 2

(Sar Par Bhi Nahi Chaadar) x 2 Laakhon Hai Tamashaai


Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4


Is Aalam-e-Ghurbat Mai Koi Bhi Nahi Meraa, Hai Khaake Safar Sar Par Aur Haath Rasan Bastaa, Pardes Mai Zainab Ko Taqdeer Kahaan Laayi


Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4


Paivast Hai Neze Mai Sar Shaahe Shahidaan Ka, Yeh Dekh Ke Ai Ghaazi Phat-taa Hai Mera Sina, Marjaaegi Is Gham Mai, Shabbir Ki Majaayee


Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4


Dariyaa Ke Kanaare Tum Aadaa Se Gaye Larne, Sab Dekh Rahi Thi Mai Darvaaza-e-Khaima Se, Ab Jung Hamaari Bhi Dekho To Zaraa Bhai


Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4


Duniyo Ka Sahara Hai Baba Jo Hamaraa Hai, Mushkil Mai Magar Maine Tumko Hi Pukaara Hai, Ab Dhundhti Hai Tumko Bhayya Meri Binaai


Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4


Be Munis-o-Yawar Hai Batlaawo Kidhar Jaaye, Is Tarha To Jine se Behtar Hai Ke Marjaaye, Fariyaad Kare Kisse Hoti Nahi Sunwaayi


Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4


Ai Sher Yehi Meri Imdaad Ko Aajaao

Maanga Hai Kanizi Mai Zaalim Ne Sakina Ko

Hai Waqt Qayamat Ka Maasum Hai Ghabraayi


Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4


Ahmed Ki Nawaasi Ka "Yassir" Yehi Nauha Thaa

Na Bhaai Bache Mere Na Koi Bachaa Beta

Ab Jiike Karungi Kya Gar Maut Nahi Aayi


Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4