bano ne kaha ay mere jaani ali akbar
barbaad hui teri jawani ali akbar
bano ne kaha…
kab bano e nashad ko is din ki khabar thi
lootegi khaza teri jawani ali akbar
bano ne kaha…
pyase hi lade pyase hi dunya se sidhare
maa de na saki nazha mein pani ali akbar
bano ne kaha…
marne ke nahi ye to abhi byah ke din thay
barchi na abhi thi tumhe khaani ali akbar
bano ne kaha…
dil khoon hua jaata hai furqat mein tumhari
rukti nahi ashkon ki rawani ali akbar
bano ne kaha…
tu ahmade mursal ki jawani ka nishan tha
aada ne teri khadr na jaani ali akbar
bano ne kaha…
jisne tumhe maara wo musalman na hoga
thay tum to mohamed ki nishani ali akbar
bano ne kaha…
mushkil tha zaeefi mein ye aasan kahan tha
bete ki jawan laash uthani ali akbar
bano ne kaha…
ay laal ab aankhon se sujaayi nahi deta
aa jao mere yusufe sani ali akbar
bano ne kaha…