Kanz e Aza

Bano Ye Boli Rokar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Mirza Murtaza Ali. Lyrics in Roman Urdu.

bano ye boli rokar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar jhoole ke sone wale


aankhon mein rehne wale seene pe sone wale

baysheer mere asghar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar...

bano ye boli rokar...


gardan dhali hui hai manka dhala hua hai

sotay ho teer kha kar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar...

bano ye boli rokar...


pani pila'un aaja seene laga'un aaja

kab se khadi hai maadar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar...

bano ye boli rokar...


godhi hui hai sooni jhoola hua hai khaali

sunsan kar gaye ghar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar...

bano ye boli rokar...


gehwara jal raha hai qaime bhi jal rahe hai

laa'un kahan se bistar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar...

bano ye boli rokar...


jangal ye soona soona ye har taraf andhera

ghabraiyo na asghar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar...

bano ye boli rokar...


ek aag si lagi hai dil gham se phat raha hai

aaye kharaar kyun kar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar...

bano ye boli rokar...


jalti zameen pe mirza pas murdaye kali hai

ghuncha-dehan khulay tar jhoole ke sone wale

sadqe gayi ye maadar...

bano ye boli rokar...