BE-SHEER KI GARDAN PAR JAB TEER LAGA HOGA
Us Waqt Shah e Deeñ Ka Kya Haal Huwa Hogaa
Dete Hue Asghar Ko Shabbir Ki Godi Me
Be-sheer Ka Baano Ne Muh Choom Liya Hogaa
Be-Sheer Ki Nawek Se Gardan Jo Chidi Hogi
Zahra Ke Kaleje Me Nasoor Pada Hoga
Haathoñ Pe Ali Asghar Jab Kaanp Gaye Hoge
Zahra Ke Pisar Ka Bhi Dil Kaanp Gaya Hoga
Kuch Ashk Giray Hoge Be-sheer Ki Turbat Par
Shabbir Ne Asghar Ko Jab Dafn Kiya Hoga
Maidan Me Jab Asghar Dam Tod Rahe Hoge
Us Waqt Me Baano Ko Ek Haul Huwa Hoga
Kya Dil Na Jalaa Hoga Us Waqt Me Baano Ka
Jhoola Ali Asghar Ka Jis Waqt Jala Hoga
IsKi Bhi Khabar Hilmi Thi Dilbar e Zahra Ko
Be-Sheer Ka Turbat Me Sar Tann Se Judaa Hoga