Kanz e Aza

Bediya Royi Kabhi

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

bediya royeyn kabhi paon ke chale roye

kaise qaidi thay jinhe qaid ke taale roye


jab suna maara gaya pani pilane wala

kaampte haton may sukhe hue pyale roye

bediya royeyn…


jane kya sochke shabbir bahot dayr talak

karke baysheer ko turbat ke hawale roye

bediya royeyn….


bhoolne walay tujhe kaise bataye koi

kis khadar tujhko tere chahne walay roye

bediya royeyn….


bekasi baap ko le aayi hai kis manzil par

barchi bete ke kaleje se nikale roye

bediya royeyn…


haye afsos ke jis waqt jale thay qaime

dayr tak shame ghariban ko ujale roye

bediya royeyn…


pyase jismo may ye paywast hue jab bhi kabhi

dekh kar sookhi ragay barchiya bhaalay roye

bediya royeyn…


bhai ki laash hai  aur shor yateemo ka nazeer

ek behan aise may bachon sambhale roye

bediya royeyn…