allahu akbar
aao namaze fajr hai
azaane akbar bula rahi hai
khuda ki wehdaniyat ka humko
paighame haq ye suna rahi hai
isi azaan ke liye sayyed
jawan akbar fida kiye hai
raahe khuda mein shaahe shaheedan
masoom asghar bhi de diya hai
hussain lekar chale jo maqsad
kyun aaj dunya bhula rahi hai
aao namaze fajr hai...
chale azaane fajar jo de kar
to bole sheh ye batao akbar
judi hai saansein wo jiski tum se
wo bin tumhare jiyegi kyun kar
mazaare nana pe roz jaa kar
diye jo sughra jala rahi hai
aao namaze fajr hai...
quran kaafi hai jo thay kehte
yehi hai quran ke wo kaari
hai wo jo naatiq quran logon
usay karenge ye qatl kaari
karenge pamaal iska laasha
ghadi asr ki wo aa rahi hai
aao namaze fajr hai...
quran ke tukde huwe hai ban mein
ghilaaf e kaaba utaar daala
hussain ko karbala mein ummat
hai pyasa khursheed maar daala
usi ki mazloomiyat pe dunya
ye aaj aansu baha rahi hai
aao namaze fajr hai...