Kanz e Aza

Baap se Uthega

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

boli laila ke tu marne ko jo aamada hai

tune humshakle nabi ye bhi zara socha hai

tu ke kadiyal hai jawan aur padar boodha hai

ke baap se uthega akbar tera laasha kaise


baap se uthega akbar tera laasha kaise

wo isay qaime mein le jayega tanha kaise

baap se uthega akbar…


wo to is aas pe jeeti hai ke tu aayega

apni behna ko bhare kunbe se milwayega

dekhna chod de sughra tera rasta kaise

baap se uthega akbar…


tune jin galiyon mein bachpan hai guzara apna

ab wahan kaun hai humshakle nabi tu hi bata

bhool jayega bhala tujhko madina kaise

baap se uthega akbar…


chaar jaanib hai yahan tashnalabi ke dere

tujhse bad kar hai zaban khushk padar ki tere

phir bhi dekhein tera baba tujhe pyasa kaise

baap se uthega akbar…


tune kyun us se hi marne ki raza maangi hai

jisne har dam tere jeene ki dua maangi hai

ye phupi bin tere reh payegi zinda kaise

baap se uthega akbar…


laal ko paala hai aankhon mein basa kar tumne

bar sare karbobala maadar e akbar tumne

zakhm seene pe jawan laal ke dekha kaise

baap se uthega akbar…


ghar se maqtal ko jo naazon ka pala aata hai

phir se aakar koi akbar se lipat jaata hai

yun uthe aur na gire qaime ka parda kaise

baap se uthega akbar…


gham raha bete ka beenayi to baakhi hi na thi

kaampte haath thay shabbir se pooche koi

tumne phal barchi ka seene se nikaala kaise

baap se uthega akbar…


bayn laila ke thay zakhmi jo tere chehra hai

khaak balon mein hai peshani se khoon behta hai

ye batade mai banaun tujhe dulha kaise

baap se uthega akbar…


hum ne izhaar ghame shaah mein matam hi kiya

yaad e akbar mein sada aankh ko purnam hi kiya

ho bapa shaam o sehar dil mein na girya kaise

baap se uthega akbar…