Kanz e Aza

Ay Shame Ghariban

A noha for Shaam e Ghareeba. Lyrics in Roman Urdu.

ay shame ghariban ay shame ghariban

tareekh ka hai gham se tere chaak gareban


ek zakhme sina se ali akbar gaye maare

kausar ko sidhare

kya kya na thay laila ko abhi byaah ke armaan

ay shame ghariban…


cheh maah ke baysheer bhi maare gaye pyase

ek teer e khaza se

is zulm pa khud ahle jafa hogaye girya

ay shame ghariban…


bete thay wo zainab ke ajab faqre abujad

wo aun o mohamed

hamsheer ne dono ko kiya bhai pa qurban

ay shame ghariban…


akbar hai na qasim hai na asghar hai na abbas

ab koi nahi paas

ek pehr may shabbir ka ghar hogaya veeran

ay shame ghariban…


shehzadi sakina bhi aaghaze safar hai

lagte hai tamache

aur shaam ka zindan to hai pir shaam ka zindan

ay shame ghariban…