ali akbar ali asghar
sadaye de rahi hai thokare khaati hai maa dar dar
ali akbar ali asghar...
kahan sote ho kyon dete nahi awaaz uth uth kar
ali akbar ali asghar...
sadaon par sadayein de raha hai baap hal min ki
musibati ki ghadi hai chain se sote ho tum dilbar
ali akbar ali asghar...
zaeefi mein pidar yun thokarein khata hai dar dar ki
koi aisa nahi de de sahara jo zara badh kar
ali akbar ali asghar...
faras se khaak par girne ko hai jaan-o-dile zehra
hazaro zakhm hai aur ek jisme sibte payghambar
ali akbar ali asghar...
kise awaaz doo kisko pukarun is musibat mein
guluye shaahe deen par chal raha hai shimr ka khanjar
ali akbar ali asghar...
madad ke waaste kisko pukarun aah qaime mein
lagi hai aag aur ghash mein pade hai abid e muztar
ali akbar ali asghar...
galay mein tauq bedi paon mein haaton mein hatkadiyan
chala jaata hai meer e kaarwan pehne hue langar
ali akbar ali asghar...
kahan par so rahe ho ghairate aale bani hashim
sare bazaare kufa hoo mere sar par nahi chadar
ali akbar ali asghar...
phuphi amma chupaye chehra e ismat ko balon se
khule sar jaa rahi hai shaam ke darbar mein dilbar
ali akbar ali asghar...