ya ali maula ya ali maula karte raho
ali ali ali ali karte raho
ya ali maula ya ali maula karte raho
nukta e baa hai ali ali ali ali
rab ne kaha hai ali ali ali ali
marzi e daawar nafse payambar
shere ghazanfar faatahe khybar
saaze wila hai ali ali
raaze khuda hai ali ali
bete ne jiske jaake padha hai naize par quran
ali ali ali ali karte raho...
mushkil ka hal ali ali ali ali
karam ka baadal ali ali ali ali
lauhe azal hai haq ki ghazal hai
saaze amal hai qaul atal hai
shaane jali hai ali ali
rab ka wali hai ali ali
hijrat ki shab usko mili hai marzi e rehman
ali ali ali ali karte raho...
hilm ka ghar hai ali ali ali ali
ilm ka dar hai ali ali ali ali
qalb o jigar mein fikr o nazar mein
ilm o hunar mein shaam o sahar mein
gyan ka suraj ali ali
dhyan ki sajdhaj ali ali
naam e ali ki maala japna momin ki pehachan
ali ali ali ali karte raho...
makki madani ali ali ali ali
ajami arabi ali ali ali ali
rang chaman bhi boo e saman bhi
rooh e sukhan bhi tann mann dhan bhi
kahin saqi hai ali ali
kahin aqi hai ali ali
naam se uske ho jaati hai har mushkil aasan
ali ali ali ali karte raho...
haq ka qaseeda ali ali ali ali
fatha ka surah ali ali ali ali
taara utre suraj palte
khyber ukhde saamp ho tukde
ran ki sada hai ali ali
shere khuda hai ali ali
zarb se jiski goonj raha hai khandaq ka maidan
ali ali ali ali karte raho...
jaan e haram hai ali ali ali ali
shaan e haram hai ali ali ali ali
banda e rab hai sajda e rab hai
lahja e rab hai chehra e rab hai
nooh ka taqwa ali ali
khizr ka jalwa ali ali
koi kahe allah ka banda koi kahe bhagwan
ali ali ali ali karte raho...
auje fasahat ali ali ali ali
nahje balaghat ali ali ali ali
marzi e khudrat rooh e risalat
jaan e wilayat shaan e imamat
tum hi mashiyat ali ali
tum hi shariyat ali ali
sajde mein tum ne khaayi hai zarbat ay kulle emaan
ali ali ali ali karte raho...
dhoop mita do ali ali ali ali
dhoop saja do ali ali ali ali
phool khila do chao bicha do
zahen jaga do jeena sikha do
hum ko asar do ali ali
daaman bhar do ali ali
apne karam se qayam kar do daher mein amn o amaan
ali ali ali ali karte raho...
nayyar ka gun ali ali ali ali
aamir ki dhun ali ali ali ali
shamma ki lau mein subh ki pau mein
husn ki zau mein ishq ki rau mein
aayat aayat ali ali
surat surat ali ali
yun lagta hai jaise ali ki madha kare quran
ali ali ali ali karte raho...