maqtal ke sannate mein
nauha karti hai naadan
ay mere baba jaan
ay mere baba jaan
baaki nahi ab mere
jeene ka koi imkaan
ay mere baba jaan
ay mere baba jaan
jangal hainghar bhi nahi hai
koi yawar bhi nahi hai
ab to akbar bhi nahi hai
sar par chadar bhi nahi hai
yun hi ab qaidi ho kar
jaana hai mujhko zindan
ay mere baba jaan...
kab se khaati hoo tamache
dono aariz hai neele
pehnaye thay jo bunde
wo bhi aada ne cheene
beti ki haalat dekho
zakhmi hai dono hi kaan
ay mere baba jaan...
loota qaima bhi ghar bhi
gehwara bhi bistar bhi
maqna bhi aur chadar bhi
hasli bhi aur gauhar bhi
aada ne aag laga kar
loote hai ghar ke saaman
ay mere baba jaan...
ye akbar ki mayyat hai
wo asghar ki turbat hai
ye farwa ki hasrat hai
wo zainab ki ghairat hai
bikhre pade hai ran mein
zehra ke dil ke armaan
ay mere baba jaan...
tum thay ahmed ke nawase
doori thi kya darya se
zabha huwe kyun pyase
batlaun kya dunya se
tum ko kalmagoyo ne
maara bula ke mehman
ay mere baba jaan...
wo hai ammu ke baazu
ye hai akbar ke gaysu
qasim bikhre hai har soo
mai hoo aur mere aansu
kal tak thi is maqtal mein
mere kunbe ki kya shaan
ay mere baba jaan...
kufe mein ghabraungi
kyun kar himmat laaungi
balwe mein sharmaungi
ghairat se mar jaungi
rukh par matti hi mal do
hone na paaye pehchaan
ay mere baba jaan...
majalis mein jab aate hai
ashk e gham barsaate hai
matam mein kho jaate hai
rote hai rulwaate hai
nayyar aur aamir ki tum
mushkil kar dena aasaan
ay mere baba jaan...