Kanz e Aza

AYE HUSSAIN KI PYAARI AYE SAKINA JAA'N BIBI

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Margayi Jo zinda'n me Shah-e Deen ki Dukhtar

Bekaso'n ke rone se gaid me huwa mehshar

Laash par Sakina ki Karti thi fugha'n Maadar

Saath chhor kar Mera tum gayi'n kahan Bibi


Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa'n Bibi


Aaj shab ki taariki badh gayi hai zinda'n me

Bebasi udaasi hai bekasi hai zinda'n me

Tum jo ab nahi'n Rothi khamoshi hai zinda'n me

Sogwaar baithi hain saari Bibiya'n Bibi


Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa'n Bibi


Karbala ke Maida'n me Mujh se chhut gaya Asghar

Tumse hi bahalta tha ye Mera dil-e muztar

Kitni besahara hoon ye to sonchti Dilbar

Tumse chhutke zinda'n me kya jiyegi Maa Bibi


Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa'n Bibi


Hogaya kafan Bibi ye phata huwa kurta

Saaf bhi na ho paya kab se khoon kaano ka

Hai yaqee'n khafa honge haal dekh kar Baba

Jaake mat gila karna Baap se waha'n Bibi


Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa'n Bibi


Kaan se chhine gowhar aur jal gaya kurta

Dono gaal zakhmi hain pusht par laga durra

Dekhti rahi bebas Maa bohut hai sharminda

Maa ke saamne khaai Tumne sayliyaa'n Bibi


Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa'n Bibi


Ghar ujad gaya Mera Qatl hogaye Baba

Karbala se Laayi hu'n Dil pa daagh Asghar ka

Ab to Dil ki har hasrat thi tumhee'n se waabasta

Kargayi Mere armaa'n khaak me Nihaa'n Bibi


Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa'n Bibi