Baade hussain kis ne kaha mai yateem hu
Maqtal se aa rahi hai sada mai yateem hu
Roke kaha sakina ne laashe hussain se
ab jaake ye yaqeen hua mai yateem hu
Jo hai wo zulm karta hai majboor jaan kar
Shaayad yahi hai meri qata mai yateem hu
Boli sakina shimr se kaano pa rakh'ke haath
gouhar na cheen behre khuda mai yateem hu
Daaman phata hua hai garebaan chaak hai
dekh Aye zameene karbobala mai yateem hu
Jo jiske bas me hai wo sitam dhaaye shouq se
ab kya karoo'n kisi se gila mai yateem hu
Baba ke saath ghoomne phirne ki umr thi
toota har ek khwaab mera mai yateem hu