kehti thi sakina na uthe baap ka saaya
bachon ke sada sar pe rahe baap ka saaya
dunya may yehi unko badi neymate rab hai
jeete hai saron par ko liye baap ka saaya
kehti thi sakina na uthe...
khaati na tamache na kabhi chinte ye gowhar
uth'ta na agar sar se mere baap ka saaya
kehti thi sakina na uthe...
kuch kam nahi hai unke liye lutfe zindagi
wo khush naseeb jinko milay baap ka saaya
kehti thi sakina na uthe...
mayoosi zindagi may lagi rehti hai sada
aulaad ke sar se jo hatay baap ka saaya
kehti thi sakina na uthe...
jab tak mere baba thay koi gham na mujhe tha
jeeti rahi be-khauf liye baap ka saaya
kehti thi sakina na uthe...
sehti na sitam is tarha ashoor se ab tak
hota jo agar sar pe mere baap ka saaya
kehti thi sakina na uthe...
tujhko kahan kami thi kisi cheez ki bober
jab tak ke raha sar pe tere baap ka saaya
kehti thi sakina na uthe...