baap ke gham mein sakina yun dilaase payegi
jab bhi baba ko pukaregi tamache khayegi
apne baalon mein basa kar apni turbat ke liye
baap ke maqtal ki mitti qaid mein le aayegi
baap ke gham mein...
kaisi ghurbat hai ke kurta layegi baysheer ka
aur sakina ki jagah maa goshware laayegi
baap ke gham mein...
jhurriyan chehre pe hongi baal sab honge safayd
shaam tak baali sakina fatema ban jayegi
baap ke gham mein...
apne dur kaano mein us ke dekh kar royegi wo
haan magar ramla ko jatlaate huwe sharmeinegi
baap ke gham mein...
neeli pad jaaye na kirne neela chehra dekh kar
roshni zindan mein jaate huwe ghabrayegi
baap ke gham mein...
maut hi akbar sula payegi is masoom ko
apni aankhon mein jo mayyat baap ki dafnayegi
baap ke gham mein...