Kanz e Aza

Baap Ko Rote Rote

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

baap ko rote rote sakina

aaj zindan may so gayi hai


poocha logon ne abid se aa kar

hai ye zindan may shor kaisa

hum pe tooti hai phir ek qayamat

ro ke abid ne bas ye bataya

wo jo raaton ko karti thi nauha

aaj zindan may so gayi hai

baap ko rote rote...


zabt karti rahi apna girya

shimr ke darr se royi nahi thi

jab se choota hai baba ka seena

ek lamha bhi soyi nahi thi

baap ke moo pe moo rakh ke dukhiya

aaj zindan may so gayi hai

baap ko rote rote...


sar shaheedon ke jis waqt aaye

qaid khane may tha shor e matam

baap ke sar ko seene laga kar

aise royi labon par ruka dam

maa ye samjhi ke jaagi hazeena

aaj zindan may so gayi hai

baap ko rote rote...


khoon bhara ek kurta kafan hai

ghusl ashkon se hi isko doonga

log apne na apna watan hai

is ghareebi may bhai kare kya

bekafan baap ki ye yateema

aaj zindan may so gayi hai

baap ko rote rote...


qabr may kaise isko utaarun

dast o paa mere zanjeer may hai

sab ko samjha gayi meri behna

aur bhi zakhm taqdeer may hai

jee raha hoo mai aur meri behna

aaj zindan may so gayi hai

baap ko rote rote...


likhte likhte tadapta hai mazhar

bain bano ke aise thay safdar

shaam ki aurton se ye boli

ek diya tum jala dena aa kar

is andhere may ro ro ke dukhiya

aaj zindan may so gayi hai

baap ko rote rote...