Kanz e Aza

Baap ke Seene Pe

A noha written by Jamal Meerthi. Lyrics in Roman Urdu.

baap ke seene pe sona ab kahan

ay sakina wo bichona ab kahan


kis se khelogi sakina kuch kaho

cheh mahine ka khilona ab kahan

baap ke seene pe...


sunliya abbas bhi maare gaye

pyase bachon ka wo rona ab kahan

baap ke seene pe...


chand si dulhan ko ghar may dekhti

maa ka ye sapna tha logon ab kahan

baap ke seene pe...


shaah ki lakhte jigar bewa hui

qismat e kubra may rona ab kahan

baap ke seene pe...


daur tha tera ali se khush bayan

gham ko ashkon may tha mouna ab kahan

baap ke seene pe...


ashra e maahe moharram jaa chuka

roz o shab moti phirona ab kahan

baap ke seene pe...


kehliya kehne ko nauha ay jamaal

khoon may khaama dubona ak kahan

baap ke seene pe...