Baad e hussain zainab kya kya na ban gayi, shah e najaf bani kabhi abbas ban gayi’n
1. Beemar ka bistar bhi jalaaya gaya logo, masoom sakina ko rulaaya gaya logo
Mazloom o yateemo ka ehsaas ban gayi, shah e najaf bani kabhi abbas ban gayi’n
2. Shabbier se jo bichdhi jeene nahi paayi, bhaayi ki wo surat ko bhulaane nahi paayi
Bhaayi se chutke zainab be aas ban gayi, shah e najaf bani kabhi abbas ban gayi’n
3. Sham e ghareeba’n me jab asbaab lut gaya, pehre pe lagi zainab sab kunba sogaya
Abbas ki behan ab abbas ban gayi, shah e najaf bani kabhi abbas ban gayi’n
4. Abbas mar gaye to be aas sab huwe, cheeni gayi chaadar aur beparda sab huwe
Beparda bibiyon ki wo ek aas ban gayi, shah e najaf bani kabhi abbas ban gayi’n
5. Daakhil huwi darbar me abbas ke bina, kursi nasheen takte hai sadma hai ye kitna
Darbar me pidar ka wo akkaas ban gayi, shah e najaf bani kabhi abbas ban gayi’n
6. Chaadar chini aseer huwi bint e buturaab, durre sahe layeen ke paaya na khatr e aab
Zain e ali ghamo ka khirtaas ban gayi, shah e najaf bani kabhi abbas ban gayi’n
7. Aye
Meer
kaisi sakht qayamat ki thi ghadhi, misl e batool zer e shajar girya karti thi
Bint e rasool ka wo akkaas ban gayi, shah e najaf bani kabhi abbas ban gayi’n
Kalaam : Meer Kumai ALi