baade sheh zainabe muztar ko kahan neend aati
waaris e laasha e be-sar ko kahan neend aati
karbala khaak ka bistar jo na hota tera
roz e ashoor bahattar ko kahan neend aati
baade sheh zainabe...
raat bhar jaag ke zaanu jo na milta sheh ka
sochta hoon hurr e muztar kahan neend aati
baade sheh zainabe...
khaak zindan ki kahan baap ka seena banti
haye shabbir ki dukhtar ko kahan neend aati
baade sheh zainabe...
saaye mein aate hi kyun dam na nikalta uska
kokh ujdi hui maadar ko kahan neend aati
baade sheh zainabe...
sitam e shaam e ghariban se pade thay ghash mein
raakh par ujde huwe ghar ko kahan neend aati
baade sheh zainabe...
neend zainab ke khule sar ne udaayi thi naved
ghash bhi abid e muztar ko kahan neend aati
baade sheh zainabe...