zindaan mein ro-ro ke sakina ka tha nauha
aye hai mere baba , aye hai mere baba
ghurbat mein mujhe chod gaye kisliye tanha
aye hai mere baba , aye hai mere baba
1. neend aati thi soti thi jo seene pe tumhare
jate huwe tum neend meri leke sidhare
ab jaagti rehti hoon toh dasta hain andhera
aye hai mere baba, aye hai mere baba
2. mudath huwi kaano se gowhar chin ke par abhi
gardan bhi hilati hoon toh takleef hai hoti
rista hai lahu kaano se hai zakhm bhi tazaa
aye hai mere baba , aye hai mere baba
3. bimaar baradar mera zanjeero mein jakda
thame huwe oonto ki rasan kanton pe chalta
gar-zouf se girta bhi toh lakta usse durra
aye hai mere baba , aye hai mere baba
4. baazar sajaye gaye hum guzre jidhar se
gardan se bandhe haath the sab ahle haram ke
aur aap ki beti ko tha ek ounth pe bandha
aye hai mere baba , aye hai mere baba
5.darbar mein jo hum pe padhi kaise bataon
kya kya mein sunaon tumhe kya kya mein sunaon
thi ek rasan barah gale kunba nabi ka
aye hai mere baba , aye hai mere baba
6. baitha tha shaqi takht pe hum saare khade the aur shimr-e-laeen naam liye jata tha sabke
hum kaash ke marjate wahin hote na ruswa
aye hai mere baba , aye hai mere baba
7. jab chaha shaqi baat kare meri phupi se
halqe mein kaneezein thi phupi jaan ko chupaye phir unko hataya gaya bas maar ke kodha
aye hai mere baba , aye hai mere baba
8. looti gayi chadar meri be parda huwi hoon
darwaze pe zindan ke tamasha main bani hoon
hai baal bhi chote mere parda nahi hota
aye hai mere baba , aye hai mere baba
9. baba zara khulwaiye gardan ki yeh rassi
mein baat bi karti hoon toh hain saans atakti
yeh kaisi aziyat hain ke dum ghut ta hain mera
aye hai mere baba , aye hai mere baba
10. ab tak na sitamgar meri pyaas bujhaye
batla ke jafa kaar mujhe paani bahaye
badta hi chala jata hai yeh pyaas ka ghalba
aye hai mere baba , aye hai mere baba
11. hai khoon se rangeen bhi yeh aur yeh jala hai
durron ki aziyat se yeh purza bhi huwa hai
ban jayega bas mera kafan ab yahi kurta
aye hai mere baba , aye hai mere baba
12. ab taab tamachon ki sakina ko nahi hain
bhai hain giraftaar toh be baak layin hain
bhijwaiye ammu ko mere paas khudara
aye hai mere baba , aye hai mere baba
13. batlao mujhe kisliye naaraz huwe hain, ashgar ko jo tum mere jagah paas rakhe hain
ab maaf bhi kardo mujhe youn todho na rishta
aye hai mere baba , aye hai mere baba
14. mohsin huwa ek hashr aseeroun ki fugaan se, nikle juhee yeh lafz sakina ki zubaan se, kyun maut bhi banti nahi ab mera sahara
aye hai mere baba , aye hai mere baba